
Is ramzanul mubarak mein sabeel quran aapke liye lekar aa raha hai quran tarjuma & tafseer quiz ek new andaz mein.
Aaiye jante hain is quiz ke bare mein is ramzan kitni quiz hone wali hai, is quiz ke liye registration karna hoga ya nahi? Iske syllabus mein kya hai hamein syllabus kaise mile ga ham winner kaise ban sakte hain ham kya kare aur kya na karen etc…
Registration
- First of all is saal quiz ke liye kisi bhi tarah ke registration ki zaroorat nahi hai.
To quiz mein participate karne walon ki details team ko kaise mile gi?
- Quiz ke liye jo google form diya jaye ga wahan par apni sahi aur mukammal details den bahut dikkat ke saath details fill karen kuch bhi ghalat hota hai to uski zimmedari aapki khud ki hogi kyunki form fill karne ka mauqa aapko sirf ek bar mile ga.
- Please note: faq page update hota rahega aur new questions ke answers bhi yaha add hote rahege.
Email id:
ye bahut important hai.
- Winner se isi id se rabta kiya jaye ga.
- Certificate isi email address par hi bheja jaaye ga, Is liye bahut diqqat se email address likhen warna dobara kisi ko certificate nahi bheja jaye ga
Mobile number:
- Whatsapp number hi enter karen, exact number hona zaroori hai.
- Mobile no ko baghair country code ke enter karen
Address:
- Bahut dhyaan se address likhen jis par gift bheja ja sake.
- Jis tarah online shopping ke liye address dete hain same usi tarah.
- Agar address mein koi bhi ghalti huwi jaise pin code, mobile number ya dusri koi bhi details ghalat huwi to dobara prize nahi bheja jaye ga.
- Courier walon ki ghalti huwi to prize dobara se bheja jaye ga.
- Lekin agar aapne receive nahi kiya to dobara se bheje jane par aapko courier charge pay karne hon ge.
Syllabus:
- 1st quiz – Para 1 se para 10 urdu tarjuma (https://shorturl.at/DVFiB) + surah yaseen tafseer (https://shorturl.at/8GNJ8)
- 2nd quiz – Para 11 se para 20 urdu tarjuma + surah waqeah tafseer
- 3rd quiz – Para 21 se para 30 urdu tarjuma + surah juma tafseer
- Syllabus ki playlist bana di gayi hai aap uspe click karke sari video ek jagah pe dekh sakte hain.
- Important Note:
- Quiz mein total 50 sawal puche jayen ge 40 sawal Tarjume se aur 10 sawal Tafseer ki clip se puche jayen ge.
- Aap video dekh kar question ka answer de sakte hain.
- Apne notes ko refer kar sakte hain.
- Kisi dusre ki help lena jayez nahi hai.
Quiz ki details kahan share hogi:
- Sabeel quran ki whatsapp community aur whatsapp channel par
- Telegram channel par
- Youtube community par
- Facebook page par
- Sabeel quran ke whatsupp status par
Quiz kahan hogi aur kab se hogi:
- Quiz google form par hogi sabeel quran ke application par nahi.
1.1. 1st quiz – 7th ramzan yani 8 march 2025 23 pm ist ko open ho jaye gi
Aur 9th ramzan 10 march 6 am ist ko form close kar diya jaye ga.
1.2. 2nd quiz – 17th ramzan yani 17 march 2025 23 pm ist ko open ho jaye gi
Quiz close time 19th ramzan 20 march 6 am ist ko form close kar diya jaye ga.
1.3. 3rd quiz – 26th ramzan yani 27 march 2025 23 pm ist ko open ho jaye gi
Quiz close time 28th ramzan 29 march 6 am ist ko form close kar diya jaye ga.
- Note:
- Apni details bahot ehtiyat se bharen aur sabhi chizen dubara check karen. Ye details bharne mein agar koi mistake hui to jama ki hui details hi final maani jaengi aur form mein baad mein changes nahin kiye jaenge.
Additional info:
- Quiz form use karne ke liye apke mobile ka browser ya pc / laptop ka browser pahle se email se logged in hona chahiye. Agar logged in nahi hoga to screen per apko login karne ka option ayega. Aap sign in per click karke email id se login karenge to google form open ho jaega.
Winner selection and announcement:
- Winners ka announcement sabeelquran ke youtube live program mein hoga.
- Winners ke marks similar hone ki soorat mein lucky draw se winner select kiya jaye ga.
- 1st quiz mein 1 ziyarat, aur 100 gift prize diye jayen ge. Jiska announcement 10 ramzan 10 pm ist ko kiyajaye ga.
- 2nd quiz mein 1 ziyarat, aur 100 gift prize diye jayen ge. Jiska announcement 21 ramzan 10 pm ist ko kiya jaye ga.
- 3rd quiz mein 1 ziyarat, aur 100 gift prize diye jayen ge. Jiska announcement 29 ramzan 10 pm ist ko kiya jaye ga.
- aapke diye gaye address par gift pahunchne mein Ramzan ke baad se 1-month lag jayenge.
- Jin logon ke naam ayen ge unhe live program mein hazir rahna hoga.
- 10 min ke andar aapko bataye gaye mobile no par apna register email id aur naam bhejna hoga agar aapne 10 min mein message nahi bheja to aapka naam cancel kar diya jaye ga.
- India se bahar ke winners ramzan ke baad hamse (+917738064110) rabta karen taki unka prize un tak pahunchaya ja sake.
Certificate
- Jo bhi is saal ki 3 quiz mein shirkat kare ga aur sabhi quiz ko mila kar 80% marks hasil kare ga use certificate bheja jayega.
- Shirkat ka meyar email id hai jiski email id same hogi wahi id final mani jaye gi baad mein kisi ki id ya naam change nahi kiya jaye ga.
- Sabhi 3 quiz mukammal hone ke baad hi certificate diya jaye ga.
Questions
1) Main islamic madrasa ka student hu to kya main quiz mein participate kar sakta/sakti hu?
Ji nahee, olama, zakereen ya madressa ke students ke liye inamat jayez nahee hai. Agar aap ne pahle bhi madressa mein taleem li hai to aap ke liye ye quiz mein shirkat sahee nahee hai. Lekin agar aap shirkat karna chahte hai aur inam ke talabgar nahee hai to shareek ho sakte hai lekin pahle se team ko inform karna zaroori hai.
Important Note:
- Maktab is category mein nahi aata, maktab mein padhe huwe log shirkat bhi kar sakte hain aur winner bhi ban sakte hain.
- Short term course karne wale jinhon ne 6 month ya 1 year ka course kiya hai online ya offline wo bhi ismein shamil ho sakte hain.
2) Kya is quiz mein kisi se puchna ya madad lena jayez hai?
Jayez nahee hai aap apne banaye notes ko refer kar sakte hain. Ya videos ko dekh kar answer de sakte hain.
3) Kya india se bahar ke momeneen shirkat kar sakte hai?
Ji haa shirkat kar sakte hai.
4) Quiz kitne din hogi?
Is saal sirf 3 quiz hain jiski details batayi ja chuki hai.
5) Registration ki last date kya hai?
Koi registration nahi jis din quiz hai us din google form bheja jaye ga sari details wahin par fill karni hai.
6) Kya hamare pahle quiz ke marks aage count honge?
Ji haan Certificate ke liye marks count hon ge.
7) Ghalti se ghalat jawab dab gaya to kya kare?
Selected jawab hi mana jayega
All the best
Agar aapka koi sawaal hai to sabeelquran se whatsapp per raabta karen
Helpline || +917738064110 (whatsapp only)